• ☝ πŸ‘πŸ‘€---- In'sha'Allah kaha kahoo karo----πŸ‘πŸ‘€.

☝ 👏👤---- In'sha'Allah kaha kahoo karo----👏👤.👇
☝Aur hargiz hargiz kisi kaam par yun na kehna ke main ise kal kardunga. Magar sath hi InshaAllah keh lena (yani agar khuda chaha to kardunga). Aur jab bhi Bhoole apne parwardigar ko yaad kar liya karna aur kehte rehna mujhe poori ummeed hai ke mera Rab mujhe is se bhi ziyada Hidayat ke Qareeb ki baat ki Rehbari karey."
📖Qur'an Surah kaahaf Surah nu(18)Aayat nu(23-24)
📗Urdu.👇
(23) اور ہرگز ہرگز کسی کام پر یوں نہ کہنا کہ میں اسے کل کروں گا۔
(24) مگر ساتھ ہی انشا اللہ کہہ لینا اور جب بھی بھولے، اپنے پروردگار کی یاد کر لیا کر نا اور کہتے رہنا کہ مجھے پوری امید ہے کہ میرا رب مجھے اس سے بھی زیادہ ہدایت کے قریب کی بات کی رہبری کرے ۔
📖Qur'an Surah kaahaf Surah nu(18)Aayat nu(23-24)
📗Arabic.👇
وَ لَا تَقُوۡلَنَّ لِشَایۡءٍ  اِنِّیۡ  فَاعِلٌ ذٰلِکَ غَدًا
﴿ۙ۲۳﴾
اِلَّاۤ اَنۡ یَّشَآءَ اللّٰہُ ۫ وَ اذۡکُرۡ رَّبَّکَ اِذَا نَسِیۡتَ وَ قُلۡ عَسٰۤی اَنۡ یَّہۡدِیَنِ رَبِّیۡ لِاَقۡرَبَ مِنۡ ہٰذَا  رَشَدًا
﴿۲۴﴾
📖Qur'an Surah kaahaf Surah nu(18)Aayat nu(23-24)
••► "Mufassireen Kehte hain ke Yhudiyon ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Teen (3) baten puchi thi.. Rooh ki haqiqat kya hai, Ashab kahf aur Zulqarnain kon the? Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Main tumhein kal Jawab dunga, Lekin is ke baad 15 din tak Jibraeel a.s Wahi lekar nahi aaye, Phir jab Aaye to Allah Tala ne In'sha'Allah kehne ka ye Hukm diya".

◈ ➲  Ayat Mein غد (kal) se Muraad Aane wala din hain Yani jab bhi Mustaqbil Qareeb ya dair se koi kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Jaroor kaha karo, kyun ki Insan ko to pata nahi ke wo Jis Irade ko zahir kar raha hai, Uski Toufeeq bhi Allah ki taraf se milni hai ya nahi?

◈ ➲  Agar Baat cheet aur wada karte waqt In'sha'Allah kehna bhool jao to jis waqt yaad aa jaye In'sha'Allah kehlo, Ya phir Rab ko Yaad karne ka Matlab uski Tareef aur Badayi aur us se Maafi ki Dua Hain.

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?