• ๐Ÿ’š☝Allah kay zikar say hi dilon ko tasalli hasil hoti hai.๐Ÿ’š๐Ÿ‘‡

Bismillahirrahmanirrahim
•○●☆---💜🇸🇦☝🇸🇦💜---•○●☆
💚☝Allah kay zikar say hi dilon ko tasalli
hasil hoti hai.💚👇
✦ ☝Jo log eman laye unn kay dil Allah kay zikar say itminan hasil kertay hain. Yaad rakho Allah kay zikar say hi dilon ko tasalli hasil hoti hai.
📖Quran Surah Ar-Rad Surah nu(13)aayat nu (28)
✦☝Bey shak musalman mard aur musalman aurten momin mard aur momin aurten farman bardaari kerney walay mard aur farman bardar aurten raast baaz mard aur raast baaz aurten aajzi kerney walay mard aur aajzi kerney wali aurten kheyraat kerney walay mard aur kheyraat kerney wali aurten rozay rakhney walay mard aur roza rakhney wali aurten apni sharamgah ki hifazat kerney walay mard aur hifazat kerney waliyan ba-kasrat Allah ka ziker kerney walay aur zikar kerney waliyan inn ( sab kay ) liye Allah Taalaa ney ( wasee ) maghfirat aur bara sawab tayyar ker rakha hai.
📖Quran Surah:Al Ahzab Surah nu(33)aayat nu(35)
✦☝Aur jo shaks rehman ki yaad say ghaflat keray hum uss per aik shetan muqarrar ker detay hain wohi uss ka sathi rehta hai.
📖Quran Surah Az-Zukhruf Surah nu(43)aayat nu(36)
📗hadis: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shaks ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se arz kiya Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Islam ke ahkam bahu zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho.
📖(Jamia Tirmidhi)
📗hadis: 🌷Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Kya main tumko aisa amal na batauu jo tumhare malik ( ALLAH) ke nazdeek achcha aur pakeeza hai aur tumhare darjat mein sabse buland , aur jo (ALLAH ki raah mein) sone aur chandi ko kharch karne se bhi afzal hai , Aur jo ALLAH ki raah mein dushmano se jihad karte huye unki gardane maarne aur wo tumharai gardane maare us se bhi behtar hai, Sahaba Radhi allahu anhuma na arz kiya kyu nahi ( jarur bataeeye), AAP Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo ALLAH ka zikr hai , Muaz bin jabal Radhi allahu anhu ne farmaya Allah ke azab se bachane wali zikr ilahi se badkar aur koi cheez nahi hai.
📖(Jamia Tirmidhi)
📗Hindi.👇
✦☝जो लोग ईमान लाए उनके दिल अल्लाह का जिक्र से इत्मीनान हासिल करते हैं, याद रखो अल्लाह के जिक्र से ही दिलों को तसल्ली हासिल होती है।
📖कुरान सुरह,राद सुरह नंबर(13)आयत नम्बर(28)
📗Urdu.👇
جو لوگ ایمان لائے ان کے دل اللہ کے ذکر سے اطمینان حاصل کرتے ہیں ۔ یاد رکھو اللہ کے ذکر سے ہی دلوں کو تسلی حاصل ہوتی ہے ۔
📖Quran Surah Ar-Rad Surah nu(13)aayat nu (28)
📗English.👇
Those who have believed and whose hearts are assured by the remembrance of Allah . Unquestionably, by the remembrance of Allah hearts are assured."
📖Quran Surah Ar-Rad Surah nu(13)aayat nu (28)
📗Arabic.👇
اَلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ تَطۡمَئِنُّ قُلُوۡبُہُمۡ بِذِکۡرِ اللّٰہِ ؕ اَلَا بِذِکۡرِ اللّٰہِ تَطۡمَئِنُّ الۡقُلُوۡبُ ﴿ؕ۲۸﴾
📖Quran Surah Ar-Rad Surah nu(13)aayat nu (28)

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?