• ✨15 Shaban ki Raat Ki haqeeqat✨

Bismillahirrahmanirrahim
✨15 Shaban ki Raat Ki haqeeqat✨
👉Baaz log Shaban ke Maheene Mein 15th Shaban Ko Shab-E-Barat Ke Naam Se Yaad Kiya Jata Hai"Aur Unke Ulama Shab-e-Qadr Jaisi Fazilate Bayan Karte Hain,
A Aqeeda Rakte hain Is Raat Infiradi Wa Ijtimayee Ibadato Ka Ahtimam Kiya Jata Hain, Atish baziya Ki Jati Hain, Masjido Main Chiragha Kiya Jata Hain, Bewa Aurte Ye Samajhti Hain Ke Unke Shoharo Ki Roohe Is Raat Aati Hain Isliye Behtreen Qism Ke Pakwan Tayyar Karke Unka INtezar Karti hain, Aisa Biddat ke Amale hamare Mashre Paya jata hain,
Aur wo Log Shaban Ki 15wi Raat Ki Fazilat Main Jo Bhi Hadis Bayan Ki Jati Hain Sab Ki Sab Mozoo Ya Zaeef Riwayat Hain,Isi Tarhan Is Raat Ki Ibadato ke silsile Main Jo Bhi hadis bayan Ki Jati Hain Woh Sari Mozoo zaeef Hain.
📗Shab-e-Barat Ki Fazilat Me Quran Ki Yeh Ayat Paish Ki Jati Hain.
Yaqeenan hum ney issay ba-barkat raat mein utara hai be-shak hum daraney walay hain.
📖Quran Surah dukhaan Surah nu(44)Ayat nu(3)
•○●☆•○●☆•○●☆•○●☆
( In Ka Yeh Qoul Sarasar Ghalat Wa Bebuniyad Hai Jiski Daleel Yeh Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Is Ayat Me Jis Raat Ko Mubarak Raat Kaha Hain Woh Ramadan Ki
Shab-e-Qadr Hain Na Ke Shab-e-Barat, Kyon ki Yeh Baat Har Musalman Janta Hain Ke Quran-e-Kareem Ka Nazeel Ramadan Me Hua Hain, Na Ke Shahban Ke Mahine Me,
Irshad-e-Rabbani Hain.
"Ramadan To Woh Mahina Hai Jisme Quran Majeed Nazil Kiya Gaya”
📖Quran,Surah Al-Baqra Surah nu(2)Ayat nu(185)
•○●☆•○●☆•○●☆•○●
Doosri Jagah Rabbul Izzat Irshad Farmata Hain
“Humne Is (Quran Kareem) Ko Shab-e-Qadr Me Nazil Farmaya Tumhe Kya Malum Ke Shab-e-Qadr Kya Hain, Shab-e-Qadr Me Ek Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Se Behtar Hain"
📖Quran,Surah Al-Qadr Surah nu(97)Ayat nu(1-3)
•○●☆•○●☆•○●☆•○●☆
💜Abu Musa Al-Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah subhanahu srif Shaban ki raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye shirk karne wale ke aur keena rakhney wale ke.
📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat)
Ye hadis sahi bhi manliya jaye Lekin Is Hadis main Is Raat Ke Liye Maksoos khas Ibadat Karne Ki Na Koee Daleel Hain Aur Na hi Kisi Ibadat Ka Hukum Diya Gaya Hain.
Aur Jahan Tak Logo Ki Maghfirat Ki Baat Hai Tu Yeh Sirf isi Raat Ke Sath Khas Nahi Hain Balke Yeh To Har Din Hota Hain, Jaisa Ke Sahi Hadis Se Sabit Hain Ke, Allah subhanahu talah Har Din Akhri Raat Ke Pehar main Sama Dunia Per Aata Hain Aur Yeh Ailan Karta Hain Ke Kon Hain Jo Mujhe Pukare Phir Main Uski Dua Ko Qabool Karon,Kaun
Hain Jo Mujhse Sawal kare Aur Main Use Doo, Kaun Hain Jo Mujh Se Maghfirat Talab Kare Aur Phir Main uski Maghfirat Kardon “
Isse Malum Hua Ke Gunaho Ki Maghfirat Ka Kaam hamesha Hota Rehta Hain Yeh Sirf
Shab-e-Barat Ke Sath Khas Nahi.
Haqeeqat yeh Hain Ke Shab-E-Barat Ka Islam Se Koee Taulluq Nahin Hain Ise Ijad Karne Wale Raafdi Hain.
Ab Koee Yeh Kahe Ke Hum Is Raat Ibadat Hi To karte Hain To Isme Burayee Kya Hain,Burayee Ibadat Main Har Giz nahin Hai Burayee Hain is Baat Main Ke Jo Baat Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Nahi Batayee Woh Hum Kaise Kar SakTe Hain.
Ek Insan Agar Asr Ke 4 Farzo Ki jagah 5 Parhne Lage To Kya Woh Sahi Hoga"Hargiz Nahin Jabke Woh Ek Rakat Namaz Hi ZYada parh Raha Hain Per Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne 4 Bataye Hain To Hum Usse Zyada Ya kam Nahin Kar Sakte.
Isi Tarhan Ibadat Allah subhanahu talah ke Yahan Woh Qabool Hogi Jiske Karne Ka Hukum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Diya Hain.
Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat Kisi Bhi Sahi Ahdis Se Sabit Nahi.
Zara Sochiye Ke Agar Yeh Itni Fazilat Wali Raat Hoti To KYa (Sahaba ikram) Is Raat Ko Ibadat Nahi Karte, Koee Ek Bhi Wakhiya
(Sahaba ikram) se Sabit Nahi Ke Un Logo Ne Is Raat Ko Khas Ibadat Nahi ki hain, Jo Khas Ibadat Ki Raat Hain Woh To Ramadan Ki (Shab-e-Qadr) Hain Usme Jitni Chahe Ibadat Karein.
Ek Baat Yaad Rakhein Ke Allah subhanahu talah Us Ibadat Ko Qabool Karta Hain Jisme Niyat Khalis Allah Ki Raza Ki Ho Aur Tareeqa Khalis Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ho.
Akhri Baat Jo Shab-E-Barat
Manate hsin,wo Logo Yaad Rakho' JO Amal Aap karte ho Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hain ke wo Mardood hain."
•○●☆•○●☆•○●☆•○●☆ 💚“Ayesha Radi-Allahu-Anha. Riwayat karti hain ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara Amal Nahi hain to wo mardud hain.
📖Sahi bukhari, hadis nu(2697)
(Sahi muslim)
📗Hindi.👇
💚अबू मूसा अल-असरी रदि अल्लाहू अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुभानहू सिर्फ सबान की रात (15 सबान) को तमाम मखलूक की बख्शीश फरमा देता है सिवाय सिरक करने वाले के और किना रखने वाले के।
📖सूनून इब्ने माजा हदीस नम्बर(1390) जिइफ रिवायू )
📗Urdu.👇
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ نصف شعبان کی رات ( اپنے بندوں پر ) نظر فرماتا ہے، پھر مشرک اور ( مسلمان بھائی سے ) دشمنی رکھنے والے کے سوا ساری مخلوق کی مغفرت فرما دیتا ہے ۔
📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat)
📗English.👇
It was narrated from Abu Musa Al-Ash’ari that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Allah looks down on the night of the middle of Sha’ban and forgives all His creation, apart from the idolater and the Mushahin.” Anoth
📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat)
📗Arabic.👇
حَدَّثَنَا رَاشِدُ بْنُ سَعِيدِ بْنِ رَاشِدٍ الرَّمْلِيُّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ لَهِيعَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الضَّحَّاكِ بْنِ أَيْمَنَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الضَّحَّاكِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَرْزَبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي مُوسَى الْأَشْعَرِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏  إِنَّ اللَّهَ لَيَطَّلِعُ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، ‏‏‏‏‏‏فَيَغْفِرُ لِجَمِيعِ خَلْقِهِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ .
📖Sunan Ibn Majah, hadis nu(1390)Zaeef Riwayat)

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?