Bismillahirrahmanirrahim
☪Ramadan Al-Mubarak Se Mutaliq Ma'n Ghadat Hadis.☪
Ramadan Al-Mubarak ke Qareeb Aate hi Social Media aur Digar Zariye Ablagh ke Zariye RasoolAllah ﷺ ki Taraf Mansoob ye Ma'n Ghadat Hadis Gardish karne Lagti hain ke “Jis ne Sab se Pehle kisi ko Ramadan ki Khabar di To us Par Jahannam ki Aag Haram ho Jati Hain.”
Yaad Rahe ke Kutub Ahdis mein Aisi koi Hadis Mazkoor Nahin, Ye logon ki Banayi hui Ma'n Ghadat baat hain, RasoolAllah ﷺ ki Taraf Aisi baat Mansoob karna Jo Aap ﷺ ne Irshad na Farmayi ho na Sirf Gunah balke Bade Wabaal o Azab ka sabab hain, Chunanche Aap ﷺ ka Irshade Girami hai:
🌹Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Mujh Par Jhoot Mat Bolo, Kyun ke jo Mujh Par Jhoot Bandhe Wo Dozakh mein Dakhil hoga.”
📖Sahi Bukhari, hadis nu(106)
📗Hindi.👇
🌹रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया मुझ पर झूठ मत बोलो क्योंकि जो मुझ पर झूठ बांधे वह दोजख में दाखिल होगा।
📖सहि बूखारी हदीस नम्बर(106)
📗Urdu.👇
میں نے علی رضی اللہ عنہ کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ مجھ پر جھوٹ مت بولو۔ کیونکہ جو مجھ پر جھوٹ باندھے وہ دوزخ میں داخل ہو۔
📖Sahi Bukhari, hadis nu(106)
📗English.👇
Narrated `Ali: The Prophet said, Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire.
📖Sahi Bukhari, hadis nu(106)
📗Arabic.👇
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ الْجَعْدِ، قَالَ: أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ، قَالَ: أَخْبَرَنِي مَنْصُورٌ، قَالَ: سَمِعْتُ رِبْعِيَّ بْنَ حِرَاشٍ، يَقُولُ: سَمِعْتُ عَلِيًّا، يَقُولُ: قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ""لَا تَكْذِبُوا عَلَيَّ، فَإِنَّهُ مَنْ كَذَبَ عَلَيَّ فَلْيَلِجْ النَّارَ"".
📖Sahi Bukhari, hadis nu(106)
๐Aur uss say ziyadah achi baat wala kon hai jo Allah ki taraf bulaye aur nek kaam keray aur kahey kay mein musalmanon mein say hun. quran,(41-33)
• ☪Ramadan Al-Mubarak Se Mutaliq Ma'n Ghadat Hadis.☪
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?