• ๐Ÿ‡ธ๐Ÿ‡ฆ☝Agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi Qasam khaye warna khamosh rahey.๐Ÿ‡ธ๐Ÿ‡ฆ☝

🇸🇦☝Agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi Qasam khaye warna khamosh rahey.🇸🇦☝👇
☝Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhari giraft nahi farmata hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apney ghar walo ko khilatey ho ya 10 miskino ko kapdey dena ya Ek Gulam Aazad karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke rozey rakhey ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo.
📖Quran,Surah Al Maeda Surah nu(5)Aayat n(89)
👉Hazrat Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi kasam khaye warna khamosh rahey.
📖Sahi Bukhari, hadis nu(2679)
👉Ibn 'Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki wo Umar bin khattab Radi Allahu Anhu ke pass gaye tab wo kuch logon ke saath they aur us waqt Hazrat Umar Radi Allahu Anhu apney walid ki kasam kha rahey they is par Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne unhey pukar kar farmaya aagaah ho jao ki Yakeenan Allah subhanahu tumhey mana karta hai ki tum apney walid ki kasam khao , agar kisi ko kasam hi khani hai to wo Allah ki kasam khaye warna chup rahey.
📖Sahi Bukhari, hadis nu(6108)
👉Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jisney islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti kasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usney kasam khayee .
📖Sahi Bukhari, hadis nu(6105)
📗Hindi.👇
👉हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया की अगर किसी को कसम खानी हो तो अल्लाह की ही कसम खाए वरना खामोश रहे.
📖सही बुखारी, हदिष नम्बर(2679)
📗Urdu.👇
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اگر کسی کو قسم کھانی ہی ہے تو اللہ تعالیٰ ہی کی قسم کھائے، ورنہ خاموش رہے۔“
📖Sahi Bukhari, hadis nu(2679)
📗English.👇
Narrated `Abdullah: The Prophet said, Whoever has to take an oath should swear by Allah or remain silent. (i.e. He should not swear by other than Allah.)
📖Sahi Bukhari, hadis nu(2679)
📗Arabic.👇
حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا جُوَيْرِيَةُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ذَكَرَ نَافِعٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ اللَّهِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""مَنْ كَانَ حَالِفًا فَلْيَحْلِفْ بِاللَّهِ أَوْ لِيَصْمُتْ"".
📖Sahi Bukhari, hadis nu(2679)

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?