• ๐Ÿ‘จ๐Ÿ’–Jab banda nikah karta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai๐Ÿ’–๐Ÿ‘จ

Bismillahirrahmanirrahim
👨💖Jab banda nikah karta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai💖👨
💙Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab banda nikah karta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai ab usko chahiye jo baqi (aadha deen) hai usmein Allah se darta rahe.
📖Al Silsila As Sahiha, hadis nu(1895)
💙Aisha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Nikah meri sunnat hai aur jo koi meri sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi, Nikah kiya karo isliye ki tumhari zyada tadad par main dusri ummato ke samne fakhr karunga, jismein istitaat (capacity) ho wo to nikah kar le aur jismein istitaat na ho wo roze rakhe , wo isliye ki roza uski shahwat ( nafsani khwahishat) ko tod dega.
📖Sunan Ibn majah,hadis nu(1846)
📗Hindi.👇
💙अनस बिन मालिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब बन्दा निकाह (शादी) करता है तो अपना आधा दीन मुकम्मल कर लेता है अब उसको चाहिए जो बाक़ी (आधा दीन ) है उसमें अल्लाह से डरता रहे।
📖अल सिलसिला साहिहा , हदीस नम्बर(1895)
📗Urdu.👇
رسول اللہ ﷺنے فرمایا: جب بندہ نکاح کرتا ہے تو اپنا آدھا دین مکمل کرلیتا ہے، اب اسے چاہئے جو باقی ہے اس میں اللہ سے ڈرتا رہے۔
📖Al Silsila As Sahiha hadis nu(1895)
📗English.👇
Anas bin malik Radi Allahu anhu reported that The Messenger of Allah (ﷺ) said When a slave (of Allah) marries he has fulfilled half of the deen (religion); so let him fear Allah regarding the remaining half.
📖Al Silsila As Sahiha hadis nu(1895)
📗Arabic.👇
عَنْ أَنَسٍ بْنِ مَالِكٍ قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : « إِذاَ تَزَوَّجَ الْعَبْدُ فَقَدِ اسْتَكْمَلَ نِصْفُ دِيْنِه، فَلْيَتَّقِ اللهَ فِيْمَا بَقِيَ » .
📖Al Silsila As Sahiha hadis nu(1895)

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?