• ๐Ÿ”ท๐Ÿ‘คEh Imaan walon apni aawazien(Nabi,S,Alaihi,W)ki Aawaz se unchi na karo.๐Ÿ”ท

Bismillahirrahmanirrahim
🔷👤Eh Imaan walon apni aawazien(Nabi,S,Alaihi,W)ki Aawaz se unchi na karo.🔷
☝Allah Ta'ala farmata hain.
  •○●☆💠 🌼💠☆●○•
یٰۤاَیُّہَا  الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَرۡفَعُوۡۤا اَصۡوَاتَکُمۡ  فَوۡقَ صَوۡتِ النَّبِیِّ وَ لَا تَجۡہَرُوۡا  لَہٗ  بِالۡقَوۡلِ کَجَہۡرِ بَعۡضِکُمۡ لِبَعۡضٍ اَنۡ تَحۡبَطَ اَعۡمَالُکُمۡ  وَ اَنۡتُمۡ  لَا تَشۡعُرُوۡنَ ﴿۲﴾
  •○●☆💠 🌼💠☆●○•
✦ Al Quran : Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusre ko zor se bolte ho unke roobaru zor se na bola karo ki tumhare aamal zaya ho jaynege aur tumko khabar bhi na hogi.
📖Quran Surah Al-Hujraat,Surah nu(49)Aayat nu(2)
✦ Al Quran : Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ko bulane ko aisa khayal na karna jaisa ki tum Aapas mein ek dusre ko bulate ho. Beshak ALLAH ko ye malum hai jo tum mein se aankh bacha kar chal dete hain to jo log unke hukm ki mukhalifat karte hain unko darna chahiye ki un par koi Aafat padh jaye ya takleef dene wala azab nazil ho.
📖Quran Surah An Noor- Surah nu(24)Aayat nu(63)
✦ Al Quran : Nabi (sallallahu alaihi wasallam ) momeeno par unki jaano se bhi Ziyada haq rakhtey hain aur Nabee ki Biwiyan unki (momeeno ki ) Maa hain.
📖Quran Surahal-Ahzab,Surah nu(33)Aayat nu(6)
✦ AL Quran : Aur humne Aapko ( Aap sallallahu alaihi wasallam ko) tamam jahano ke liye rahmat bana kar bheja hai
📖Quran Surah Al-Anbiya Surah nu(21)Aayat nu(107)
✦ Al Quran : (Oh Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) Aap farma djiye agar tum ALLAH se muhabbat rakhte ho to meri pairwi karo taaki Allah tumse muhabbat kare aur tumhare gunah bakhshe aur ALLAH bakhshne wala meharban hai
📖Quran Surah Aal-e-imran Surah nu(3)Aayat nu(31)
📗Hindi.👇
✦अल क़ुरान : एह ईमान वालों अपनी आवाज़ें नबी सललल्लाहू अलैही वसल्लम की आवाज़ से उँची ना करो और जिस तरह आपस में एक दूसरे को ज़ोर से बोलते हो उनके रूबरू ज़ोर से ना बोला करो की तुम्हारे आमाल ज़ाया हो जायेंगे और तुमको खबर भी ना होगी.
📖कूरआन सुरह अल-हुजरात सूरह नम्बर(49)आयत नम्बर( 2)
📗Urdu.👇
اے ایمان والو! اپنی آوازیں نبی کی آواز سے اوپر نہ کرو اور نہ ان سے اونچی آواز سے بات کرو جیسے آپس میں ایک دوسرے سے کرتے ہو ،  کہیں  ( ایسا نہ ہو )  کہ تمہارے اعمال اکارت جائیں اور تمہیں خبربھی  نہ ہو ۔ 
📖Quran Surah Al-Hujraat Surah nu(49)Aayat nu(2)
📗English.👇
✦ Al Quran : O you who believe! raise not your voices above the voice of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , nor speak aloud to him in talk as you speak aloud to one another, lest your deeds should be rendered fruitless (become vain) while you perceive not.
📖Quran Surah Al-Hujraat Surah nu(49)Aayatnu(2)

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?