💚Aur uss say ziyadah achi baat wala kon hai jo Allah ki taraf bulaye aur nek kaam keray aur kahey kay mein musalmanon mein say hun. quran,(41-33)
9 Aur 10 muharram ka Roza)
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ Bismillahirrahmanirrahim
9 Aur 10 muharram ka Roza)
💙Ibn Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab madina mein tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne yahudiyo ko dekha ki wo Ashura ke din (10 Muharram) ka roza rakhte hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unse iska sabab pucha to unhone kaha ki ye ek achcha din hai is din Allah susbhanhu ne bani israeel ko unke dusman ( firaun) se nijat dilwayee thi isliye Musa Alaihi salam ne us din ka roza rakha tha to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musa Alaihi salam par tumse zyada haq hamara hai, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne bhi us din roza rakha aur Sahaba Radi allahu anhuma ko bhi iska hukm diya
📖Sahi Bukhari, hadis nu(2004)
🌸Nabi kareem ﷺ ne aashoora ke din roza rakha aur iske rozay ka hukm farmaya to unhon (sahaba r.a) ne arz kiya Ae Allah ke rasool ﷺ iss din to yahoodi aur nasara tazeem karte hain to rasool Allah ﷺ ne farmaya ke jab aindah saal aayega to hum navi (9) tareekh ka bhi roza rakhen ge Ravi (hazrat abbas r.a) ne kaha ke abhi aindah saal nahi aaya tha ke rasool ﷺ wafaat paa gaye.
📖Sahi Muslim hadis nu(2666)
💙Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai
📖Sahi Muslim, hadis nu(2747)
💙Abu Said khudri Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh ko 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai.
📖Sahi Muslim , hadis nu(2713)
📗Hindi.👇
🌺नबी करीम ﷺ ने आशूरा के दिन रोज़ा रखा और इस के रोज़े का हुक्म फ़रमाया तो उन्होंने (सहाबा र•अ ने) अर्ज़ किया ए अल्लाह के रसूल ﷺ उस दिन तो यहूदी और नसारा ताज़ीम करते हैं तो रसूल अल्लाह ﷺ ने फ़रमाया की जब आइन्दा साल आएगा तो हम नौवीं (9) तारीख़ का भी रोज़ा रखेंगे रावी (हज़रत अब्बास र•अ) ने कहा की अभी आइन्दा साल नहीं आया था की रसूल अल्लाह ﷺ वफ़ात पा गए।
📖सही मुस्लिम हदीस नम्बर(2666)
📗Urdu.👇
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے عاشورہ کے دن روزہ رکھا اور اس کے روزے کا حکم فرمایا تو انہوں نے عرض کیا اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم !اس دن تو یہودی اور نصاریٰ تعظیم کرتے ہیں تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب آئندہ سال آئے گا تو ہم نویں تاریخ کا بھی روزہ رکھیں گے راوی نے کہا کہ ابھی آئندہ سال نہیں آیا تھا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم وفات پاگئے
📖Sahi Muslim hadis nu(2666)
📗English.👇
Ibn 'Abbas reported that when the Messenger of Allah ( صلی اللہ علیہ وسلم ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah ( صلی اللہ علیہ وسلم ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah ( صلی اللہ علیہ وسلم ) died before the advent of the next year.
📖Sahi Muslim hadis nu(2666)
📗Arbic.👇
وحَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ الْحُلْوَانِيُّ، حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي مَرْيَمَ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ أَيُّوبَ، حَدَّثَنِي إِسْمَاعِيلُ بْنُ أُمَيَّةَ، أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا غَطَفَانَ بْنَ طَرِيفٍ الْمُرِّيَّ، يَقُولُ: سَمِعْتُ عَبْدَ اللهِ بْنَ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا، يَقُولُ: حِينَ صَامَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمَ عَاشُورَاءَ وَأَمَرَ بِصِيَامِهِ قَالُوا: يَا رَسُولَ اللهِ إِنَّهُ يَوْمٌ تُعَظِّمُهُ الْيَهُودُ وَالنَّصَارَى فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «فَإِذَا كَانَ الْعَامُ الْمُقْبِلُ إِنْ شَاءَ اللهُ صُمْنَا الْيَوْمَ التَّاسِعَ» قَالَ: فَلَمْ يَأْتِ الْعَامُ الْمُقْبِلُ، حَتَّى تُوُفِّيَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
📖Sahi Muslim hadis nu(2666)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?