• ๐ŸŒƒ๐ŸŒท๐ŸŒ™Ramadhan ul Mubarak ke fazail.๐ŸŒ™๐ŸŒท๐ŸŒƒ๐Ÿ‘‡

🌃🌷🌙Ramadhan ul Mubarak ke fazail.🌙🌷🌃👇
Ramadhan ul Mubarak momin bande ke liye Allah Taala ki taraf se baa’is e sa’adat hai. Yun to Allah ki taraf se bandon ke liye kayi mawaaqe’ aise hain jo baa’ise ajr o sawaab hain magar muqaddas Ramadhan ki baat hi kuch aur hai. Yeh rehmat aur barkat se bhara huwa hai,ramadan ka maheena hai. Is ka ek ek din aur ek ek raat aur raat o din ka ek ek lamha khair o barkat se mu’attar hai.
Agarche roza saal mein ek baar aur sirf ek maheene ke liye aata hai magar is ke fuyooz o barkaat aur aasaar (yani saal bhar rehte hain).
*Quran e Kareem aur Sahi hadis ki roshni mein" Ramadhan aur roze ke be shumaar fazail hain, un mein se kuch aap ki khidmat mein pesh karte hain.
➊ Ramadhan mein Quran e Kareem ka nuzool:*
Allah Taala ka farmaan hai:
شَہۡرُ رَمَضَانَ الَّذِیۡۤ اُنۡزِلَ فِیۡہِ الۡقُرۡاٰنُ ہُدًی لِّلنَّاسِ وَ بَیِّنٰتٍ مِّنَ الۡہُدٰی وَ الۡفُرۡقَانِ ۚ فَمَنۡ شَہِدَ مِنۡکُمُ الشَّہۡرَ فَلۡیَصُمۡہُ ؕ وَ مَنۡ کَانَ مَرِیۡضًا اَوۡ عَلٰی سَفَرٍ فَعِدَّۃٌ مِّنۡ اَیَّامٍ اُخَرَ ؕ یُرِیۡدُ اللّٰہُ بِکُمُ الۡیُسۡرَ وَ لَا یُرِیۡدُ بِکُمُ الۡعُسۡرَ ۫ وَ لِتُکۡمِلُوا الۡعِدَّۃَ وَ لِتُکَبِّرُوا اللّٰہَ عَلٰی مَا ہَدٰىکُمۡ وَ لَعَلَّکُمۡ تَشۡکُرُوۡنَ ﴿۱۸۵﴾
📖Tarjumah:💚
Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran utaara gaya jo logon ko hidayat kerney wala hai aur jiss mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein say jo shaks iss maheeney ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinon mein yeh ginti poori kerni chahaiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori ker lo aur Allah Taalaa ki di hui hidayat per uss ki baraiyan biyan kero aur uss ka shukar kero.
📖Quran:Surah Al-Baqarah, Surah No(2) Ayat No(185)
💚Abu Hurairah Radiallahu anhu kahte hai ki"Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jab Ramadhan ka maheena aata hai to Jannat ke darwaaze ko khol diye jaate hain Jahannam ke darwaaze  band kar diye jaate hain
Aur Shayateen ko zanjeer main kas diya jata hain.
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗Hindi.👇
💚अबू हुरैरा रदियल्लाहू अन्हो केहती है की रसूल-अल्लाह सल सल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाय जब रमजान का महीना आता है तो जन्नत के दरवाजे को खोल दिया जाता है" जहन्नम के दरवाजे बंद कर दिए जाते हैं और सयातीन को जंजीर में कस दिया जाता है।
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗Urdu.👇
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جب رمضان کا مہینہ آتا ہے تو جنت کے دروازے کھول دئیے جاتے ہیں۔ جہنم کے دروازے بند کر دئیے جاتے ہیں اور شیاطین کو زنجیروں میں کس دیا جاتا ہے۔“
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗English.👇
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said, When the month of Ramadan comes, the gates of Paradise are opened and the gates of the (Hell) Fire are closed, and the devils are chained.
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)
📗Arabic.👇
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ بُكَيْرٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا اللَّيْثُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي عُقَيْلٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ شِهَابٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي ابْنُ أَبِي أَنَسٍ مَوْلَى التَّيْمِيِّينَ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ أَبَاهُ حَدَّثَهُ أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏يَقُولُ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ ""إِذَا دَخَلَ رَمَضَانُ فُتِّحَتْ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ وَغُلِّقَتْ أَبْوَابُ جَهَنَّمَ وَسُلْسِلَتِ الشَّيَاطِينُ"".
📖Sahi Bukhari , hadis nu (3277)

No comments:

Post a Comment

Jazak Allah Khair.?
Thank you for this Comment,?